Angan main phir nikla chand
Angan main phir nikla chand For Urdu / Hindi ReadersAngan main phir nikla chand
yad ata hay apna chand
uskay hont chalakti chagal
or hay uska chehra chand
uska chehra chand se ujla
tum nay dekha aisa chand?
sab ki apni apni ankhain
sab ka apna apna chand
kis ko is main shak hay logo!
sab se pyara mera chand
ujli ujli meri ratain
mera nikhra nikhra chand
uskay noor main dhul gaye rstay
pas se mere guzra chand
herat meri ankhon main hay
farsh pe kese utra chand?
tham jaati bus shaam waheen per
pehlu main jab betha chand
mere daman main sar rakh ker
jab sota tha mera chand
ab hain kitni kaali ratain
mudat se na nikla chand
ham ko aisay tanha kar k
kis ki chat per utra chand
mujh se sab kuch lay lay Ya Rab!
mujh ko day day mera chand"
By Kanwal Malik
yad ata hay apna chand
uskay hont chalakti chagal
or hay uska chehra chand
uska chehra chand se ujla
tum nay dekha aisa chand?
sab ki apni apni ankhain
sab ka apna apna chand
kis ko is main shak hay logo!
sab se pyara mera chand
ujli ujli meri ratain
mera nikhra nikhra chand
uskay noor main dhul gaye rstay
pas se mere guzra chand
herat meri ankhon main hay
farsh pe kese utra chand?
tham jaati bus shaam waheen per
pehlu main jab betha chand
mere daman main sar rakh ker
jab sota tha mera chand
ab hain kitni kaali ratain
mudat se na nikla chand
ham ko aisay tanha kar k
kis ki chat per utra chand
mujh se sab kuch lay lay Ya Rab!
mujh ko day day mera chand"
By Kanwal Malik
Please login or register
You must be logged in or register a new account in order to
Login or Registerleave comments/feedback and rate this poem.