Baat thi muhabat ki Umar bhar ki chahat ki
Baat thi muhabat ki
Umar bhar ki chahat ki
Payar ki kahani thi
Ishq k samandar main
Dard ki rawani thi
Jo ussay batani thi
Baat mukhtasar si thi,
Zeest k safar ki thi
Baat umar bhar ki thi
Har kathin se rastay main
Uskay sath hona tha
Us k sath hansna tha
Us kay sath rona tha
Dhoop main ya chaoun main,
Us kay sath jalna tha
Zindagi ki raahon main
Us kay sath chalna tha
Baat thi muhabat ki
Umar bhar ki chahat ki
Jo ussay batanay main
Zindagi ganwa di thi
Bhool kar jahan dono
Zaat ye bhula di thi
Sar jhuka k sajday main
Usko sochtay thay ham
Gir gira k qismat se
Usko mangthay thay ham
Uska naam aye to
Dil ko thaam laitay thay
Or baa’ wazoo ho kar
Uska naam laitay thay
Baat bandagi ki thi,
Baat thi ibadat ki
Baat thi muhabat ki
Umar bhar ki chahat ki
Usko kia batatay ham..?
Haal E Dil sunatay ham!
Dil ka haal sunnay ki
Kab usay faraghat thi…?
Aik din najanay kioun…?
Jab usay faraghat thi…….
Uss nay meri ankhaon main
Doob kar jo dekha to…
Bus yahi kaha mujhse
“Soch main youn khoi si,
Or roi roi si
Aisay sochti kia ho…?
Haath ki lakeeroun main,
Aisay khojti kia ho…?
Jatay jatay rastay se,
Mujhko rokto kia ho….?”
Main nay keh dia usse
Raat din har ik lamha,
Tumko sochti hon main
Hath ki lakeeroun main
Tumko khojti hon main
Jatay jatay rastay se,
Tumko rokti hon k….
Baat hay muhabat ki
Umer bhar ki chahat ki..”
Us nay muskura kr phir….
Ye faqat kaha ham se
Baat hay himaqat ki
Sara sar himaqat ki”
Aaj sochti hon k
Haal e Dil sunnany main
Zindagi bita di to….?
Ham nay usko chahnay main,
umer ye ganwa di to…?
bhool ker jahan dono
zaat ye bhula di to…?
Jisko zindagi jana
Jisko bandage maana
Haan sila wafaoun ka
Kia dia kanwal~ us nay…?
Hamko maar hi daala
Haaye! Bay ajal us nay….
Hijar ki musafat main
Lamha lamha jalti hon
Zeest k safar main ab
Tanha tanha chalti hon
Or sochti hon k
Us nay sach kaha tha na!
Baat wo muhabbat ki
Umer bhar ki chahat ki
Baat thi himaqat ki
Sara sar himaqat ki…..”
Haan ager samjh laina
Kaash wo samjh laita
Baat thi muhabat ki
Umar bhar ki chahat ki
Please login or register
You must be logged in or register a new account in order to
Login or Registerleave comments/feedback and rate this poem.